Size:
Tone:
Confession
Why You?? Don't know
Confession
2 min read 2026-09-24
Pata nahi tumse yeh baat
kaise kahun…
Kuchh baatein hoti hain na,
jinhe kehne se pehle
insaan unhe bahut baar
apne andar jee leta hai.
Shayad main bhi
kaafi waqt se laa raha hoon
tumse kehne ki himmat.
Mujhe tum achhi lagti ho.
Why me?
Yeh poochhogi toh
shayad main chup ho jaaun.
Kyunki tumhari koi ek baat nahi
jo mujhe tumhari taraf kheenchti hai…
Tumhara baat karna,
tumhara achanak chup ho jaana,
tumhari woh chhoti-chhoti baatein
jinhe shayad tum khud bhi
yaad nahi rakhti…
Mujhe yaad reh jaati hain.
Kabhi bina wajah yaad aati ho,
kabhi kisi baat mein
tumhari baat yaad aa jaati hai.
Maine tumhe pasand karne ka
kabhi koi faisla nahi liya tha.
Na koi iraada tha,
na koi wajah dhoondi thi.
Bas pata hi nahi chala
kab tumse baat karna
achha lagne laga…
Kab tumhari fikr hone lagi…
Kab tumhari khamoshi bhi
kuchh kehne lagi…
Aur kab ek “tum”
baaki sabse thodi si
alag ho gayi.
Shayad isi liye
agar kabhi tum mujhse poochhogi-
“Tumhe main hi kyun pasand hoon?”
Toh main tumhe
koi khoobsurat wajah nahi de paunga.
Bas tumhari taraf dekhkar
shayad itna hi keh paunga
Pata nahi…
Kuchh logon ko
pasand karne ki wajah nahi hoti.
Bas dil ko
unka hona achha lagta hai.
Aur mujhe…
tumhara hona achha lagta hai.
— Anant Yadav
Share Poem: